Welcome
05 September 2012

06:47

Guru ka mahetv kabhi hoga na kum,
Bhale kar le kitni bhi unnati hum,
Waise to hai internet pe har prakaar ka gyaan,
Par ache bure ki nahi hai use pehchaan .
Nahin hain shabd kaise karoon dhanyavaad,
Bas chahiye har pal aap sabka aashirvaad,
Hoon jahan aaj mai usme hain bada yogdaan,
Aap sabka jinhone diya mujhe itna gyaan.
Aapne banaya hai
mujhe is yogya,
Ki praapt karoon mai apna lakshya,
Diya hai har samay aapne sahaara ,
Jab bhi laga mujhe ki mai haara.
Par main hoon kitna matlabi,
Yaad kiya na maine aapko kabhi,
Aaj karta hoon dil se aap sab ka sammaan,
Aap sab ko hai mera shat shat pranaam.
Happy Teachers Day.!!!

0 comments:

Post a Comment

Post Your Comment